Wednesday, November 6, 2013

Wo Lamhe

Guzarta hu aaj bhi jab un galion se main
To wqat kahin ruk sa jatata hai
Dil karta hai kuch Masoom sawal
par na dhadkano se koi jawab aata hai

Ruk si jaati hai ye dhadkane bhi waqt k saath
Jab jab un lamho ka khayal aata hai
Dekhta hu aaj bhi jab unhe wahi apne saath
Vo nazara hoton pe hansi aur aankho mein chand aansu bhar lata hai

Fir bhi un ashko ki bheed mein ek aansu aisa chalak aata hai
Jinme un yaadon ka gehra aks nazar aata hai
Dhoondhta hai dil unhe, Jinke hone se hoti hai dhoop mein bhi chaon
Intezar hai to bas itna, ki zindagi mein wo lamha.............

Fir laut k kab aata hai ....

No comments:

Post a Comment